Aaj kal har doosra shakhs belly fats ko kam karna chahta hai jis k liye woh asan aur quick home remedies ki talash main hota hai. Hum aaj apke liye kuch aisee hi tips aur totkay le kar aa rehe hain.
Belly fats ko reduce karne k liye ye hamari home remdies, tips, totkay aur upay ye hain.
Totkay/ Upay to Loose Belly Fats:
1. Lemon pani belly fats ko reduce karne k liye aik azmooda totka hai.
2. Cucumber yani kheera bhi stomach ya belly fats kam karne liye nahayat mofeed hai. Issi tarah kacha tamatar bhi.
3. Apple cinder vinger ko pani main mix karn k peene se bhi stomach fats burn hotey hian.
4. Mint yani podina bhi pait kam karne liye mofeed hai totka hai.
5. Green tea bhi pait km karnay k liye aik achi cheez hai. Quick results k liye green tea din main 2,3 baar istemal karen.
6. Ginger tea yani adrak ki chaye bhi pet kam karti hai. achay nataej k liye lemon aur shehed bhi mix kar lain.
7. Garli tea bhi belly fats yani pait ki faltu charbi ko kam karti hai. 3 clove garlic, 1 lemon ko pani main mix kar k istemal karen.
8. Honey ko water main mix kar subah nehar monh pee lain.
9. Almond yani badam bhi pate km karnay k liye aham hain.
Belly fats reduce karne ki misc. tips aur home remedies:
1. Snacks ka kam istemal karen
2. Meethi cheezain kam khaen.
3. Rice kam khaen
4. Munasib exercise ya walk karen.
5. TV kam dekhen aur active life style apnaen.
6. Phalon aur sabziyon ka ziada istemal karen.
7. Ghair zaroori stress se bachain.
8. Rassa phalangain
9. Carbohydrated drinks kamm peyen
10. Mood acha karne k liye na khaen -sirf uss waqt khaen jab waqee bhook lagay
11. Neend poori lain aur neend ki kami na hony den.
Ziada Belly fats ki common reasons:
1. Junk food ka ziada istemal
2. Chiknai wali aur meethee cheezon ka ziada istemal
3. Bhari khanay ke baad foran so jana
4. Warzish ki kami
5. Aram de lifestyle
6. Moroosi wajoohat
0 comments:
Post a Comment